Body Buildings..

   🏋Body Builds Tips In Hindi🏋 
Kya Ap ek muscular body banana chahte hain? Apne models ko dekha hoga. jinke six packs abs hote hain. Chest ka size kafi bada hota hai. Biceps bhi kafi muscular hote hain. Agar aap unhi actors aur models ki tarah body banana chahte hain to aaj ham apko Body Kaise Banaye ? 10 Bodybuilding Tips In Hindi bataynge jinka use karke aap apne ghar Baith body bana sakte hai. Gym tips In Hindi
Body Kaise Banaye ? 10 Bodybuilding Tips In Hindi
Body Kaise Banaye ? 10 Bodybuilding Tips By Sanjiv Yadav In Hindi
Aj kal kon nahi chahta ki uska biceps 14 inch se zyada ho. acha chest aur uthe hue shoulder ho. To batana chahunga. ek muscular body ko banane ke liye kafi mehnat ki zarurat padti hai. jitna zyada aap work out karke paseena bahanynge. utni hi achi apki body me clearity aayegi. body banane ke liye apko kisi chamatkar ka intezar nahi karna hai. apko khud hi mehnat karni hogi. lekin agar aapko work out yani gym karne ki sahi technic pata chal jaye. to aap kuch hi mahino me achi body bana sakte hain aur iske liye ham aapko Body Kaise Banaye ? 10 Bodybuilding Tips Hindi me bata rahe hai.

Body Kaise Banaye ? 10 Bodybuilding Tips In Hindi.

Agar apke shareer par motapa hai. aap us motape se chhutkara pakar ek muscular body banana chhate hain. ya apka shareer kafi patla hai. aap fat gain karke body banana chahte hain. to apko work out karne ke sahi steps pata hone chahiye. yaha mai apkoBody Kaise Banaye ? 10 Bodybuilding Tips Hindi me dunga. Jisse apko kafi had tak help milegi.
Body Kaise Banaye iske liye apko jin chizo ki zarurat hoti hai. wo sare tips apko yaha diye jaynge. kis tarah se apko apni Body Kaise Banaye aur iske liye kya – kya karna hai yah aap hamare bataye hue tips ko padhke ache se follow karne honge.

Paise Invest Ka Dhyan Rakhe

Body banane ke liye aapko gym jane ki zarurat hogi. aap chahe to aap ghar par hi body bana sakte hain. par iske liye apko kai saal lag jaynge. to aapko gym join karna chahiye. gym join karne se pahle is bat ka dhyan rakhe ki apko har mahine apni body ke upar kamse kam 4000 se 5000 rupay kharch karne hong. jisme apki gym ki fees, protien aur juice ka kharcha ayega.

Acha Gym Join Kare

Gym join karne se pahle us gym ki jankari nikal le. jo log pahle se waha gym kar rahe ho. unse gym ke trainer ki jankari lele. jis gym me gym karne ka zyada aur acha saman ho us gym ko join kare. isse apko exercise karne me asani hogi. ache trainer ke hone se ap jaldi body banane me safal ho jate hain. kyuki apka trainer apko Bodybuilding Tips In Hindi batayega.

Training Partner Banaye

Gym join karne ke bad usi gym ka ek training partner bana le. isse aapko workout karne me madad milegi. agar aap workout ke dauran thak jaynge. usse apko physical yani sharirik support milegi. aap der tak exercise kar paynge.

Pani Pine Par Dhyan De

Gym karte samay pani na piye. jab ap gym karle. uske 1 ghante baad pani piye. din me pani pite rahe. bharpur matra me pani pine se apke shareer ke andar thakan jaldi nahi hoiti hai.

Acha Diet Le

Gym join karne ke baad apne trainer se apni diet ke bare me puche. kyuki aapne trainer ke bare me jankari nikal li hai. wah apko apke shareer ke hisab se diet bataynge. us diet ko follow karke gym kare. zyada supplement na khaye. Anda, machli, juice, doodh, soyabeen aur protien ka sevan zyada kare. sath hi me fal bhi khate rahe.

Gym Jane Se Pahle

Kabhi bhi khali pet gym na jaye. gym jane se pahle 2 kele kha kar jaye. isse apke shareer me energy ki kami mahsus nahi hogi. aap zyada der tak exercise kar sakenge. Gym me aane ke bad ek dam exercise ko shuru na kare. pahle khali hath pair move karke shareer ko warm up yani garam kare.

Exercise Ka Tarika

Gym Me jane ke baad apne trainer se exercise ka tarika pata kare. agar aap sirf six pack abs banana chahte hain. to aap six pack abs ki exercise kare. body ko warm karne ke baad Sari exercise apne trainer se puch kar sahi tarike se kare. kyuki galat tarike se kiye gaye kisi bhi kaam se nuksan hota hai fayda nahi. Bodybuilding Tips In Hindi

Puri Nind

Gym join karne ke baad aap apni nind par dhyan de. puri nind le. hamesha sidhe soye. Nindkka time raat me hota hai. kisi kaam ki wajh se aap apni nind ka time na badle. jo nind raat me aati hai. wo din me nahi aa sakti. rat me aram se puri nind lekar fresh mind se subah me jaldi uthe.

Daily Alag Part Ki Exercise Kare

Exercise har part ki alag aati hai. jante hain kitni exercise hoti hain.
  1. Chest
  2. wings
  3. Shoulder
  4. Biceps
  5. Triceps
  6. Thighs
  7. Wrist
itne tariko ki exercise karne ke baad banti hai body. agar aapke sirf biceps hain. chest nahi hai. to ap ek muscular body ke malik nahi kahlayng. apko har tarah ki exercise karni hai. daily badal kar work out kare.

Weight Badha Kar Exercise Kare

Starting light weight yani halke wazan se workout kare. kuch din baad weight badana shuru kar de. Har Ek Set Lagane ke baad weight bada le. aisa karne se apke shareer par ek dam load nahi padega. dhire dhire aadat padh jayegi. uske bad aap bhari wazan se exercise kar sakte hain. adhik bhari wazan na uthaye. isse apke shareer ki manspeshiyo me galat khichaw bhi aa sakta hai.

Loyal Rahe Body Ke Sath

Body banani hai to apne shareer ke sath loyal rahna padega. iske liye apko daily gym jana hoga. gym ki chhuti na kare. sunday ki chhuti me aap ghar par utni der tak work out kijiye jitna gym me karte hain. uske baad apko behtarin result milega.

Comments

Popular Posts